Yes, you can do Wazifa without Wudu. Wudu is not strictly necessary for all types of Wazifa. For example, non-Quranic Wazifa. You do not need to be in Wudu to do these Wazifas, but I always recommend having Wudu because it helps you stay clean and focus better. However, if you can not perform Wudu, it is ok you can still do Wazifa without Wudu because your tongue is clean, and the most important thing is to do Wazifa with full sincerity. When you are reciting Wazifa from Quranic Ayat, then do Wudu before starting the Wazifa.
One evening, my friend Sara felt very worried about her exam the next day. She asked me about a dua for success in exam results. Sara was unsure whether she needed Wudu to perform it so she called me.
Then I sent her this link to clarify whether Wudu is required for the Wazifa or not. Thank you Akhtar Bhai your help is always appreciated.
I am glad that you found it helpful.
Muje bohat gass hota rehta hai aur mere liye Wudu maintain karna bohat mushkil kam hai mein ek Wazifa ko read karna chahta hu kia me bagair Wudu ke ee Wazifa kar sakta hu rehnumanyi farmaye. Shukria.
Ap Wazifa bina Wudu ke bhi kar sakte hain, kyun ke Wudu sirf namaz aur Quran ko chune ke liye zaruri hota hai. Aur ap ke liye shari uzzar bhi tu hai, kyun ke apka Wudu hawa kharij hone ki wajah se bar bar toot jata hai.
Is surat me ap ek dafa Wudu kar ke Wazifa shuru kar sakte hain, chahe baad me hawa kharij hone ki wajah se Wudu toot bhi jaye. Lekin agar ap peshab ya pakhana karein, to phir se Wudu karna zaroori hoga, kyun ke uske baad apka uzzar khtam ho jata hai. Sirf hawa kharij hone ki surat mein dubara Wudu ki zarurat nahi rahegi.
Mein ek Wazifa kar raha hu jo ke mujhe sony se pehle karna hota hai. Mein isha ki namaz ke baad khana wagera khaa leta hu aur doodh peene ke baad Wazifa karta hu. Mera sawal ye hai ke kya mujhe dobara Wazu karna zaruri hai ya phir mein aise hi Wazifa kar sakta hu? Jo Wazifa mein kar raha hu wo Qurani Wazifa hai.
Agar apke Wazifa karne se pehle Wudu tha aur sirf khana khaia ya doodh peya tu ap us Wudu ke saath hi Qurani Wazifa kar sakte hain. Dobara Wudu karna zaruri nahi. Lekin haan agar Wudu kisi aur wajah se tuta ho jaisa ke peshab, paikhana, ya hawa ka nikalna wagera jo Wudu ko torta hai, to phir dobara Wudu karke hi Wazifa karein.