Dushman se Nijat pane ka Wazifa – Fasayak fi Kahumullah Wahuwas Samiul Alim

Questions: QuestionsDushman se Nijat pane ka Wazifa – Fasayak fi Kahumullah Wahuwas Samiul Alim
2 Answers491 Views
2 Answers
Akhtar Bhai Spiritual Healer answered 5 months ago

Agar apke bohat sare dushman ban gaye hain, ya apke khilaf kisi ney koi na-jaiz muqadama darj karwaya hai, ya koi apko tang kar raha hai jisse apki zindagi mutasir ho rahi hai, to aise dushmano se nijaat paane ke liye yeh ek bohat asar daar Wazifa hai.Karna yeh hai ke 11 dafa Durood-e-Ibrahimi Awal-o-Aakhir parhna hai phir 313 dafa yeh wazifa Fajr ki namaz ke baad rozana parhna hai.

فَسَيَكۡفِيكَهُمُ ٱللَّهُۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ

Fasayak fi Kahumullah Wahuwas Samiul Alim

InshaAllah, apko apke dushmano se nijat milegi.

Yusuf Iqbal answered 6 days ago

Mera kisi banday se len den ka jhagra hua tha to us ne mere upar jhoota muqadma karwa diya tha jo ke pichlay 5 saal se chal raha tha. Phir maine Fasayak fi Kahumullah wala Wazifa shuru kiya. Abhi sirf 2 mahine huay thay ke wo muqadma khatam ho gaya hai Alhamdulillah. Ab mujhe ye maloom karna hai ke kya mujhe ye wazifa jari rakhna chahiye ya ab band kar doon? Aur main aapko hadiya ke tor par kuch dena chahta hoon taake aap aise hi logon ki madad karte rahein.

Akhtar Bhai
Spiritual Healer replied 6 days ago

G bilkul abhi ap ye Wazifa utna hi arsa aur jari rakhein jitna arsa ap ne pehle parha hai. Uske baad agar aap chahein to Wazifa band kar sakte hain. Aur jo ap hadiya dena chah rahe hain, Allah ap ko iska ajar azeem ata farmaye. Ap Wazifai ke donate option par jaa kar bhej sakte hain. JazakAllah khair!

Write Your Answer Below:

16
+
16
=








×
Write reply for "Dushman se Nijat pane ka Wazifa – Fasayak fi Kahumullah Wahuwas Samiul Alim"
7 + 17 =