Is Wazifa Haram in Islam?

Questions: QuestionsIs Wazifa Haram in Islam?
Fatima Khan asked 3 months ago
2 Answers
Akhtar Bhai Spiritual Healer answered 3 months ago

No, Wazifa is not haram in Islam. Wazifa mostly includes Ayat from the Quran that are recited a specific number of times or involve making duas. Performing Wazifa with the intention of seeking help from Allah is Halal. However, if a Wazifa contains shirk or involves seeking help from anyone other than Allah, it is completely haram.

Shadhaa answered 4 weeks ago

Ek din maine ek Maulana se sawal kiya ke kya Wazifa karna jayaz hai ya nahi. Unhon ne meri baat ghor se suni aur phir bade saaf alfaaz mein kaha ke Wazifa karna haram hai. Yeh jawab sun kar mujhe hairani bhi hui aur thodi pareshani bhi kyunki maine hamesha suna tha ke Wazifa ek acha amal hai jo log apni duaaon ki qabooliyat ke liye karte hain. Maulana ke kehne ka matlab kya tha? Kya waqai Wazifa karna haram hai? ya phir koi khaas tareeqa ya niyyat galat ho sakti hai? Yeh sawaal mere zehan mein ghoomta raha aur maine socha ke shayad mujhe kisi aur alim-e-deen se bhi mashwara lena chahiye take is baat ki behtar samajh ho sake.

Akhtar Bhai Spiritual Healer replied 4 weeks ago

Wazifa karna Haram nahi hai kyunki jab ap Quran Pak ki ayat ya masnoon duaein parhte hain, to ye bhla kesy haram ho sakta hai. Han, agar koi Wazifa jo ke Quran o Sunnat se nahi hai aur usme shirkia alfaaz ya ghair Islami tareeqe shamil hain, to wo tu Haram e hoga. Shayad Maulana ne apko usi Wazifa ke mutaliq kaha hoga jo Quran Pak se na ho ya jisme shirk ka koi anasir ho. Behtar yehi hai ke sirf wahi Wazifay kiye jayein jo Quran aur Sunnat ke mutabiq hain, taki koi ghalat raste par na chale.

Write Your Answer Below:
8 + 18 =

💬 Need help?