Shadi ek aisa rishta hai jo mohabbat, izzat aur iman o yaqeen par qaim hota hai. Pehle tu mein yehi kahunga ke ap apni cousin ko samjhaen ke apna ghar kharab na kare aur talaq wali side par na jaye. Lekin agar yeh rishta zabardasti chal raha hai, husband tang aur pareshan kar raha hai, aur sirf maal o dolat ka faida uthany ke liye jaan boojh kar talaq nahi de raha hai, tu phir apki cousin ka talaq lena banta hai. Agar husband talaq nahi de raha to usay khula lena chahiye.
Main samajh sakta hoon ke apki cousin ki kuch personal wajohaat hongi jo yahan bayan nahi ki jaa sakti, aur na hi is sawal mein poochi jaa sakti hain. Phr be agar bachay hain to koshish karen ke shadi kharab na ho, warna bachay rul jate hain.
Phir bhi agar kisi mashwaray ki zarurat ho ya ruhani rehnumayi chahiye to ap mujhse mere number pe rabta kar sakte hain, mein apko mazeed guide kar dunga.
G bachay nhi hein or court wagera k chakkar mn meri cousin k family wale nhi parna chahte isliye apsy madad ki guzarish hai, kindly help.
G theek hai, agar bachay nahi hain aur court waghera ke chakar mein nahi parhna chahte tu ap mujhse mobile par rabta kar lein. InShaaAllah mein apki cousin ke maslay ka behtareen hal kar dunga, taake baghair kisi pareshani ke koi rasta nikal sakey.