Allah apke bhai ko apne hifz-o-amaan mein rakhe unki har museebat aur pareshani dur farmaye aur unhe lambi sehatmand aur khushiyon bhari zindagi ata farmaye. Aameen.
Dekhiye mene dushmanon se nijaat pane ka Wazifa bataya hua hai lekin apke bhai ke halaat ko dekhte hue filhaal main apko woh Wazifa karne ka mashwara nahi dunga kyunki jab kisi ki jaan ko khatra ho toh sabse pehle uski physical protection zaroori hoti hai.
Meri aapse guzarish hai ke apke bhai aise logon se door rahen unse kisi tarah ka saamna ya behas na karein aur apni hifazat ka khaas khayal rakhein. Zaroorat padne par police aur qanooni madad bhi lein.
Rohani taur par is pareshani ke liye main apko ek khaas Amal kar dunga jisse Allah ke fazl-o-karam se apke bhai ko dushmanon ke shar se hifazat aur nijaat ki dua ki ja sake.
Ap mujhe contact kar lijiye main apki rehnumai kar dunga. Allah apke bhai ko har buri nazar, hasad aur dushman ke shar se mehfooz farmaye. Aameen summa Aameen.