To use the "Wa Alqaina Baina Humul Adawata" Wazifa to create dislike and separate two people, follow these steps:
First, say
Wa Alqainaa Bainahumul Adaawata Wal Baghdaaa a’ ilaa Yawmil Qiyaamah
وَ اَلْقَیْنَا بَیْنَهُمُ الْعَدَاوَةَ وَ الْبَغْضَآءَ اِلٰى یَوْمِ الْقِیٰمَةِؕ
While saying the first person name. Then say Ma Bayn and say the second person name. Repeat this 313 times. Start at 12 PM on either Saturday or Tuesday. This Wazifa is strong and effective for separation, but use it only for the right reasons.
Mere husband kisi aur aurat ke chakar me hain muje dhoka dy rahe hain mere pass name wagera nai hai us aurat ka lekin muje pata hai mer husband jata hai kisi aurat ke pas please meri madad kije. Agar me wa al qaina ayat wala Wazifa kar sakti hu tu kesy.
Agar apke pas dusri aurat ka name wagera nai hai tu ap Shohar ko dusri aurat se dur karne ka wazifa kar sakti hain. Jis se apke us aurat se adawat o Judai ho jayegi. Inshallah
Me do logo ke darmyan nafrat karna chahti hu lekin muje Ma Bayn ki samj nai ai ke kesy karna hai ap please thora explain kar dyty tu mere liye asani ho jaati.
Pehlay ap ayat parhain, phir ek shakhs ka naam lein phir ‘Ma Bayn’ ka lafz bolein, aur phir doosray shakhs ka naam lein. Ap un do logon ke naam leingi jinke darmiyan ap judaai aur nafrat paida karna chahti hain.
Asslam O Alaikum Is ka wazifa star Saturday ya Tuesday likha hy kia just ek din krna hy ya kitny din ya kn kn sy din please detail se bta dyn shookria.
Wa Alaikum Assalam, Wazifa Saturday ya Tuesday se shuru karna hota hai. Isay sirf ek din nahi, balky lagataar mukarrar muddat 21 din tak rozana karna hota hai. Rozana isi waqt par amal karein aur paakizgi aur namaz ka khayal rakhein. Shukriya۔
Mere husband ne dusri shadi ki hai aur me dusri larki se sakhat nafrat karti hu kuynke uske any ke baad mere husband ab mujesy dur rehty hain nafrat karty hain tu me un dono ke darmyan nafrat karna chahti hu. Mein ye adawat ka Wazifa karna chahti hu muje ijazat dain ke mein apka ye dia gya Wazifa karlun? aur kia ye sai hoga?
Me apka dukh dard samajh sakta hu, lekin apke husband ke najaiz taluqaat tu nahi hain. Unho ny tu nikah kiya huwa hai, aur ab wo larki uski biwi hai, uske bhi haqooq hain. Islam nafrat aur adawat ka nahi, balkay sulah aur salook ka dars deta hai. Yeh Islam ki taleemat ke khilaf hoga agar ap husband aur wife ke darmiyan judai ya nafrat karwain gi. Me apko adawat ka Wazifa karne ki ijazat is liye nahi de sakta, kyun ke wo bhi uski biwi hai. Apka gussa apni jagah jaiz hai, lekin iska hal nafrat se nahi hoga. Ap nafrat aur adawat ka amal karne ke bajaye ap apne husband ke liye mohabbat wala Wazifa kar sakti hain. Taake apka husband apke bhe haqooq pure kare.
Assalam o alaikum kya main yh wazifa kr skti hn meri step mother zabadasti meri shdi ek aesi jaga krwa rhi hn jahan mera dil mutmain larky ki 2 talaq hoi kehta ek lrki pgl hogai 2sri bhag gai mere bhai abu pe bhi kala jadu kr diya wo ni sun rhy main ni karna chahti
Walikumsalam Muskaan bhen. Yeh Wazifa judai aur nafrat ke liye hai, shadi rokne ke liye nahi hai. Agar apka dill mutmain nahi hai is shadi ko le ke tu apko yahan shadi nahi karni chahiye, aur abhi ke abhi apne ghar walon ko saaf kehna chahiye.
Agar kisi ne apke abu aur bhai pe kala jadu kiya hai to uske liye ap mujh se rabta karein, In Sha Allah main iska hal nikal dunga. Allah apke liye asaaniyan paida kare aur har burai se mehfooz rakhe. Ameen.
Bhai maine saaf mana kar k bhi dekh lia main but koi raza mand ni horha main yahan shadi ni krna chahti judai wala amal is liye ni kr sktein k mere bhai or us larke main judai ya larai hojye jis waja sy rishta toot jaye ya agar koi rishta torne ka wazifa apko pata mujhe bata den
Theek hai, agar apko lagta hai ke apke bhai aur us larkay mein larai ho jae tou rishta toot jaega, tu ap yeh “Wa Alqainaa” Wazifa kar sakti hain. Apka poora haqq hai ke jo larka apko pasand nahi, us se shadi na karein.
JazakAllah bhai yh wazifa explain kr den k 313 ayat parhni hn toh kya ek dafa ayat parhne k bad pehle insan ka nam or ma bayn k bad dsry bandy ka nam lena hy ya 313 bar parh k ek hi bar lena hy nam
Har bar laina hai. Pehle ayat parhni hai, phir pehle insan ka naam or Ma Bayn ke baad doosray banday ka naam lena hai, har bar.