Zabardasti aik insaan ka rishta kiya ja raha hy ghar walay nae maan rahy wo kisi or sy shadi krna chahta hy likin parents ny kahi or zabrdasti rishta kiya hy wo is rishty ko khtm krny ki hr koshish kr chuka hy koi aisa wazifa bataiy prhny sy ya to lrki walay inkar krdai ya usky ghar walay inkar kardain khud ba khud

Questions: QuestionsZabardasti aik insaan ka rishta kiya ja raha hy ghar walay nae maan rahy wo kisi or sy shadi krna chahta hy likin parents ny kahi or zabrdasti rishta kiya hy wo is rishty ko khtm krny ki hr koshish kr chuka hy koi aisa wazifa bataiy prhny sy ya to lrki walay inkar krdai ya usky ghar walay inkar kardain khud ba khud
1 Answers309 Views
1 Answers
Akhtar Bhai Spiritual Healer answered 2 months ago

Zabardasti kuch nai hota. Agar rishta hua hai to larka seedha inkar kar de usko pasand nai hai to usay apne ghar walon se khul kar baat karni chahiye ke yeh rishta usay qabool nai. Bohat log mangniyan isi liye kar lete hain taa ke baad mein koi baat samne aaye to rishta todna aasaan ho isliye yeh koi ajeeb baat nai.

Nikah ke waqt bhi larkay se teen dafa poochha jata hai agar woh chahay to us waqt bhi inkar kar sakta hai. Aur mein koi Wazifa nai bata raha kyun ke is maslay mein Wazifa ki zaroorat hi nahi. Thori si samajhdari se kaam lain larkay ko bhi aur us larki ki zindagi ko bhi madde‑naz̤ar rakhna chahiye jis se rishta hua hai.

Write Your Answer Below:

7
+
19
=








×
Write reply for "Zabardasti aik insaan ka rishta kiya ja raha hy ghar walay nae maan rahy wo kisi or sy shadi krna chahta hy likin parents ny kahi or zabrdasti rishta kiya hy wo is rishty ko khtm krny ki hr koshish kr chuka hy koi aisa wazifa bataiy prhny sy ya to lrki walay inkar krdai ya usky ghar walay inkar kardain khud ba khud"
17 + 9 =